sarakti jae hai ruKH se naqab aahista aahista AMEER MINAI
sarakti jae hai ruKH se naqab aahista aahista AMEER MINAI

sarakti jae hai ruKH se naqab aahista aahista AMEER MINAI

sarakti jae hai ruKH se naqab aahista aahista
AMEER MINAI
 Deedar-e-Yaar (1982)

 

saraktī jaa.e hai ruḳh se naqāb āhista āhista

nikaltā aa rahā hai āftāb āhista āhista

javāñ hone lage jab vo to ham se kar liyā parda

hayā yak-laḳht aa.ī aur shabāb āhista āhista

shab-e-furqat kā jaagā huuñ farishto ab to sone do

kabhī fursat meñ kar lenā hisāb āhista āhista

savāl-e-vasl par un ko adū kā ḳhauf hai itnā

dabe hoñToñ se dete haiñ javāb āhista āhista

vo bedardī se sar kāTeñ ‘amīr’ aur maiñ kahūñ un se

huzūr āhista āhista janāb āhista āhista

Leave a Reply