sine mein jalan aankhon mein tufan sa kyun hai
SHAHRYAR
Gaman (1978)
siine meñ jalan āñkhoñ meñ tūfān sā kyuuñ hai
is shahr meñ har shaḳhs pareshān sā kyuuñ hai
dil hai to dhaḌakne kā bahāna koī DhūñDe
patthar kī tarah be-his o be-jān sā kyuuñ hai
tanhā.ī kī ye kaun sī manzil hai rafīqo
tā-hadd-e-nazar ek bayābān sā kyuuñ hai
ham ne to koī baat nikālī nahīñ ġham kī
vo zūd-pashemān pashemān sā kyuuñ hai
kyā koī na.ī baat nazar aatī hai ham meñ
ā.īna hameñ dekh ke hairān sā kyuuñ hai