tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum SAHIR LUDHIANVI  

tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum
SAHIR LUDHIANVI
 
Pyaasa 1957

tang aa chuke haiñ kashmakash-e-zindagī se ham

Thukrā na deñ jahāñ ko kahīñ be-dilī se ham
māyūsī-e-ma.āl-e-mohabbat na pūchhiye

apnoñ se pesh aa.e haiñ begānagī se ham
lo aaj ham ne toḌ diyā rishta-e-umīd

lo ab kabhī gila na kareñge kisī se ham
ubhreñge ek baar abhī dil ke valvale

go dab ga.e haiñ bār-e-ġham-e-zindagī se ham
gar zindagī meñ mil ga.e phir ittifāq se

pūchheñge apnā haal tirī bebasī se ham
allāh-re fareb-e-mashiyyat ki aaj tak

duniyā ke zulm sahte rahe ḳhāmushī se ham

Leave a Comment