tere aane ka dhoka sa raha hai
NASIR KAZMI
tire aane kā dhokā sā rahā hai
diyā sā raat bhar jaltā rahā hai
ajab hai raat se āñkhoñ kā aalam
ye dariyā raat bhar chaḌhtā rahā hai
sunā hai raat bhar barsā hai bādal
magar vo shahr jo pyāsā rahā hai
vo koī dost thā achchhe dinoñ kā
jo pichhlī raat se yaad aa rahā hai
kise DhūñDoge in galiyoñ meñ ‘nāsir’
chalo ab ghar chaleñ din jā rahā hai