uzr aane mein bhi hai aur bulate bhi nahin
DAGH DEHLVI
uzr aane meñ bhī hai aur bulāte bhī nahīñ
bā.is-e-tark-e-mulāqāt batāte bhī nahīñ
muntazir haiñ dam-e-ruḳhsat ki ye mar jaa.e to jaa.eñ
phir ye ehsān ki ham chhoḌ ke jaate bhī nahīñ
sar uThāo to sahī aañkh milāo to sahī
nashsha-e-mai bhī nahīñ niiñd ke maate bhī nahīñ
kyā kahā phir to kaho ham nahīñ sunte terī
nahīñ sunte to ham aisoñ ko sunāte bhī nahīñ
ḳhuub parda hai ki chilman se lage baiThe haiñ
saaf chhupte bhī nahīñ sāmne aate bhī nahīñ
mujh se lāġhar tirī āñkhoñ meñ khaTakte to rahe
tujh se nāzuk mirī nazroñ meñ samāte bhī nahīñ
dekhte hī mujhe mahfil meñ ye irshād huā
kaun baiThā hai use log uThāte bhī nahīñ
ho chukā qat.a ta.alluq to jafā.eñ kyuuñ hoñ
jin ko matlab nahīñ rahtā vo satāte bhī nahīñ
ziist se tañg ho ai ‘dāġh’ to jiite kyuuñ ho
jaan pyārī bhī nahīñ jaan se jaate bhī nahīñ