waqt-e-piri shabab ki baaten SHAIKH IBRAHIM ZAUQ    

waqt-e-piri shabab ki baaten
SHAIKH IBRAHIM ZAUQ
 
 
vaqt-e-pīrī shabāb kī bāteñ

aisī haiñ jaise ḳhvāb kī bāteñ

phir mujhe le chalā udhar dekho

dil-e-ḳhāna-ḳharāb kī bāteñ

vā.izā chhoḌ zikr-e-nemat-e-ḳhuld

kah sharāb-o-kabāb kī bāteñ

mah-jabīñ yaad haiñ ki bhuul ga.e

vo shab-e-māhtāb kī bāteñ

harf aayā jo aabrū pe mirī

haiñ ye chashm-e-pur-āb kī bāteñ

sunte haiñ us ko chheḌ chheḌ ke ham

kis maze se itaab kī bāteñ

jām-e-mai muñh se tū lagā apne

chhoḌ sharm o hijāb kī bāteñ

mujh ko rusvā kareñgī ḳhuub ai dil

ye tirī iztirāb kī bāteñ

jaao hotā hai aur bhī ḳhafaqāñ

sun ke nāseh janāb kī bāteñ

qissa-e-zulf-e-yār dil ke liye

haiñ ajab pech-o-tāb kī bāteñ

zikr kyā josh-e-ishq meñ ai ‘zauq’

ham se hoñ sabr o taab kī bāteñ

Leave a Comment