wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
MOMIN KHAN MOMIN
vo jo ham meñ tum meñ qarār thā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vahī ya.anī va.ada nibāh kā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vo jo lutf mujh pe the beshtar vo karam ki thā mire haal par
mujhe sab hai yaad zarā zarā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vo na.e gile vo shikāyateñ vo maze maze kī hikāyateñ
vo har ek baat pe rūThnā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
kabhī baiThe sab meñ jo rū-ba-rū to ishāratoñ hī se guftugū
vo bayān shauq kā barmalā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
hue ittifāq se gar baham to vafā jatāne ko dam-ba-dam
gila-e-malāmat-e-aqribā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
koī baat aisī agar huī ki tumhāre jī ko burī lagī
to bayāñ se pahle hī bhūlnā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
kabhī ham meñ tum meñ bhī chaah thī kabhī ham se tum se bhī raah thī
kabhī ham bhī tum bhī the āshnā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
suno zikr hai ka.ī saal kā ki kiyā ik aap ne va.ada thā
so nibāhane kā to zikr kyā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
kahā maiñ ne baat vo koThe kī mire dil se saaf utar ga.ī
to kahā ki jaane mirī balā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vo bigaḌnā vasl kī raat kā vo na mānñā kisī baat kā
vo nahīñ nahīñ kī har aan adā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
jise aap ginte the āshnā jise aap kahte the bā-vafā
maiñ vahī huuñ ‘momin’-e-mubtalā tumheñ yaad ho ki na yaad ho