wo to KHush-bu hai hawaon mein bikhar jaega
PARVEEN SHAKIR
vo to ḳhush-bū hai havāoñ meñ bikhar jā.egā
mas.ala phuul kā hai phuul kidhar jā.egā
ham to samjhe the ki ik zaḳhm hai bhar jā.egā
kyā ḳhabar thī ki rag-e-jāñ meñ utar jā.egā
vo havāoñ kī tarah ḳhāna-ba-jāñ phirtā hai
ek jhoñkā hai jo aa.egā guzar jā.egā
vo jab aa.egā to phir us kī rifāqat ke liye
mausam-e-gul mire āñgan meñ Thahar jā.egā
āḳhirash vo bhī kahīñ ret pe baiThī hogī
terā ye pyaar bhī dariyā hai utar jā.egā
mujh ko tahzīb ke barzaḳh kā banāyā vāris
jurm ye bhī mire ajdād ke sar jā.egā