yaro mujhe muaf rakho main nashe mein hun MEER TAQI MEER   

yaro mujhe muaf rakho main nashe mein hun
MEER TAQI MEER
  
Film: Saat Lakh

 

yaaro mujhe muaaf rakho maiñ nashe meñ huuñ

ab do to jaam ḳhālī hī do maiñ nashe meñ huuñ

ek ek qurt daur meñ yuuñ hī mujhe bhī do

jām-e-sharāb pur na karo maiñ nashe meñ huuñ

mastī se darhamī hai mirī guftugū ke biich

jo chāho tum bhī mujh ko kaho maiñ nashe meñ huuñ

yā hāthoñ haath lo mujhe mānind-e-jām-e-mai

yā thoḌī duur saath chalo maiñ nashe meñ huuñ

ma.azūr huuñ jo paañv mirā be-tarah paḌe

tum sargirāñ to mujh se na ho maiñ nashe meñ huuñ

bhāgī namāz-e-juma to jaatī nahīñ hai kuchh

chaltā huuñ maiñ bhī Tuk to raho maiñ nashe meñ huuñ

nāzuk-mizāj aap qayāmat haiñ ‘mīr’ jī

juuñ shīsha mere muñh na lago maiñ nashe meñ huuñ

Leave a Comment