ye na thi hamari qismat ki visal-e-yar hota MIRZA GHALIB   

ye na thi hamari qismat ki visal-e-yar hota
MIRZA GHALIB
  
Film: Mirza Ghalib (1954)

ye na thī hamārī qismat ki visāl-e-yār hotā

agar aur jiite rahte yahī intizār hotā

tire va.ade par jiye ham to ye jaan jhuuT jaanā

ki ḳhushī se mar na jaate agar e’tibār hotā

tirī nāzukī se jaanā ki bañdhā thā ahd bodā

kabhī tū na toḌ saktā agar ustuvār hotā

koī mere dil se pūchhe tire tīr-e-nīm-kash ko

ye ḳhalish kahāñ se hotī jo jigar ke paar hotā

ye kahāñ kī dostī hai ki bane haiñ dost nāseh

koī chārasāz hotā koī ġham-gusār hotā

rag-e-sañg se Tapaktā vo lahū ki phir na thamtā

jise ġham samajh rahe ho ye agar sharār hotā

ġham agarche jāñ-gusil hai pa kahāñ bacheñ ki dil hai

ġham-e-ishq gar na hotā ġham-e-rozgār hotā

kahūñ kis se maiñ ki kyā hai shab-e-ġham burī balā hai

mujhe kyā burā thā marnā agar ek baar hotā

hue mar ke ham jo rusvā hue kyuuñ na ġharq-e-dariyā

na kabhī janāza uThtā na kahīñ mazār hotā

 

use kaun dekh saktā ki yagāna hai vo yaktā

jo duī kī bū bhī hotī to kahīñ do-chār hotā

ye masā.il-e-tasavvuf ye tirā bayān ‘ġhālib’

tujhe ham valī samajhte jo na bāda-ḳhvār hotā

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Exit mobile version