You are currently viewing Aisa Hoga Kalyug Lyrics – Narci

Aisa Hoga Kalyug Lyrics – Narci

Aisa Hoga Kalyug Lyrics – Narci

Aisa Hoga Kalyug Song Credits:

Hindi:Narci
Singers:Narci
Music Directors:Narci
Lyricists:Narci
Composers:Narci
Genres:Motivational
Label:Narci

Aisa Hoga Kalyug Lyrics

Khoon ke rishte maile honge sharam karega koi na
Paksh aasuree bhayega dharam padhega koi na
Karm ki baatein sab karenge hathon mein le Geeta ko
Falon ki sabko chinta hogi karm karega koi na

Nyaay bikega khula aur maun padenge nyaayaadheesh
Logon ke hi aage hogi hatya fir to nyaay ki
Jisne na kasoor kiya wo kaaraagaar mein royega
Jaan lega bhai saga swyam apne bhai ki

Awaaz uthegi neki ki na sab karenge chota man
Log hasenge dekh kisi ka bebasi mein rota kshan
Dwapar se bhi neech yahan honge sau Duryodhan
Cheer fatega naari ka to sab banege shrotaagan

Neech bade uskaaeynge ki tyaag dena tu dharm
Hari katha chor aur Kali ke aake chhoo charan
Maa bhabhi aur behanon ko na chorenge wo bhediye
Bachon se bhi neech karenge wo giroh mein kukarm

Aane waala kaala yug hoga kuch aisa
Poojenge wo dev ek hi jise kahenge paisa
Rishton ko ye khayega nyaay rakhega jeb mein
Sharrdha jhoothi kabhi bhi dil ki kaalik ko hai dhakti na

Dhongiyon ki jhoothi leela kabhi dhong se thakti na
Mandiron ke aage ye naachenge shrrngaar mein
Paane ko prasiddhi bas dhong karenge bhakti ka

Arey ye to kuch bhi nahi hai Kalyug mein
manushya ki vichaardhaar isse bhi giri hui hogi

Asthaayee sukhon ko paane hetu sabhi havas ko bhaagenge
Sahas hoga jeene ka na kaya khud ki taangeinge
Nahi milenge Shravan Kumar maangeinge sab sampatti
Ram naam to lenge par maryada bhi laanghenge

Madira jua sona kaam baithenge ye sar par hi
Veshyaalay hi karenge tab sabke man ko aakarshit
Lahu lagega muh aisa ki maanvta ko bhoolenge
Pashuon tak na simit honge banege saare narabhakshee

Prem ki paribhasha bhi ye denge yahan pe poori raund
De vachan ye premi ko karenge saaron se sambhog
Kali kaal ke praani na saat vachan nibhaayenge
Na nishtha hogi rishton mein chinta ka bas hoga dhong

Chhote se hi vivaran mein lena tum anumaan laga
Asuron se bhi neech banege shrishti ke insaan wahan
Prahlad ke jaise mila koi to bhavsagar ke hoga paar
Baithega na koi warna Narayan mein dhyan laga

 

“Aisa Hoga Kalyug” Music Video

 

 

Leave a Reply