Tere Chehre Se Parda Lyrics – Kishore Kumar, Mohammed Rafi

Tere Chehre Se Parda Lyrics – Kishore Kumar, Mohammed Rafi

Tere Chehre Se Parda” Song Details:

Movie: Muqaddar (1978)
Singer(s): Kishore Kumar, Mohammed Rafi
Lyricist(s): Anjaan
Composer(s): Rajesh Roshan
Music Director(s): Rajesh Roshan
Genre(s): Qawwali
Director(s): Ravi Tandon
Music Label: © Saregama
Starring: Shashi Kapoor, Rekha, Amjad Khan, Sanjeev Kumar, Paintal, Aruna Irani

Tere Chehre Se Parda Lyrics – Kishore Kumar, Mohammed Rafi

Khub Badi Rangin Mehfil Hai
Bada Betab Har Dil Hai
Ghata Me Hai Abhi Bijli
Abhi Parde Me Kya
Katil Hai
Tere Chehre Se Parda Hatana Bhi Hai
War Teri Nazar Ka Bachana Bhi Hai
Teri Mehfil Teri Mehfil
Teri Mehfil Teri Mehfil
Are Teri Mehfil Ki Khatir Tamasha Hai Hum
Tamasha Hai Hum Ha Tamasha Hai Hum
Par Tujhe Ek Tamasha Dikhana Bhi Hai
O Tere Chehre Se Parda Hatana Bhi Hai
War Teri Nazar Ka Bachana Bhi Hai

 

Aaj Dekhenge Hum Kya Kayamat Hai Tu
Kya Gajab Kya Kahar Hai Kaisi Aafat Hai Tu
Are Are Re Jaan Leva Agar Tere Andaz Hai
Hum Darenge Nahi Hum Bhi Jaabaz Hai
Jaan Leva Agar Tere Andaz Hai
Hum Darenge Nahi Hum Bhi Jaabaz Hai
Faisla Ho Faisla Ho Faisla Ho Faisla Ho
Are Faisla Aaj Ho Jaye Har Bat Ka
Har Bat Ka Ha Ha Har Bat Ka
Samne Tu Bhi Hai Ye Zamana Bhi Hai
O Tere Chehre Se Parda Hatana Bhi Hai
War Teri Nazar Ka Bachana Bhi Hai

Tu Itna Betab Na Ho Dil Ko Zara Tham Le
Benazara Ho To Koi Shabar Se Kya Kam Le
Khel Hi Khel Me Har Khel Bigad Jaye Na
Is Kaleje Me Aag Ye Koi Bhadkaye Na
Bahut Nache Bahut Nache
Bahut Nache
Ha Bahut Nache Tere Isharo Pe Hum
Isharo Pe Hum Isharo Pe Hum
Nach Kar Aaj Tujhko Nachana Bhi Hai
O Tere Chehre Se Parda Hatana Bhi Hai
War Teri Nazar Ka Bachana Bhi Hai

Bala Se Jaan Jati Hai To Jaye
Are Ji Ke Kya Hoga
Tadapkar Rat Din Gam Ka
Zahar Ye Pi Ke Kya Hoga
Aaj Tak Tadpe Hum Aaj Teri Bari Hai
Aaj Ki Shab Teri Jaan Pe Bhari Hai
Are Re Dil Tera Aaj Zalim Ke Panje Me Hai
Beraham Katilo Ke Shikanje Me Hai
Dil Tera Aaj Zalim Ke Panje Me Hai
Beraham Katilo Ke Shikanje Me Hai
Dilo Par Parde
Parde Me Ye Khanjar
Ek Mewal  Tamasha Khud Na Ban Jana
Tamasha Dekhne Wale
Kuch Aaho Ko Rang To Lane De
Bat Ban Jayegi Waqt Ko Aane De
Are Re Bat Dil Ki Hai Hotho Pe Kab Se Ruki
Zulm Kab Tak Sahe Ab To Had Ho Chuki
Bat Dil Ki Hai Hotho Pe Kab Se Ruki
Zulm Kab Tak Sahe Ab To Had Ho Chuki
O Sitamgar O Sitam Gar O Sitamgar
O Sitamgar Bade Zulm Tune Kiye
Tune Kiye Ha Ji Tune Kiye
Aaj Zulmo Ka Badla Chukana Bhi Hai
O Tere Chehre Se Parda Hatana Bhi Hai
War Teri Nazar Ka Bachana Bhi Hai
Teri Mehfil Teri Mehfil
Teri Mehfil Teri Mehfil
Are Teri Mehfil Ki Khatir Tamasha Hai Hum
Tamasha Hai Hum Tamasha Hai Hum
Par Tujhe Ek Tamasha Dikhana Bhi Hai
O Tere Chehre Se Parda Hatana Bhi Hai
War Teri Nazar Ka Bachana Bhi Hai.

 

Leave a Comment